Showing posts with label Hindi Rhymes. Show all posts
Showing posts with label Hindi Rhymes. Show all posts

Shubh Ratri Chaand - Good Night Moon IN HINDI

Ek Bade Hare Kamre Mein
Tha Ek Telephone
Aur Ek Laal Balloon
Aur Ek Tasveer Thi Ek Gai Ki Jo Chaand Ke Upar Se Kudi Thi
Aur Teen Chote Bhalu, Jo Kursi Pe Baithe The
Aur Do Chote Billi Ke Bachche
Aur Ek Jodi Dastana
Aur Ek Chota Sa Khilona Ghar
Aur Ek Chota Chuha
Aur Ek Kanghi, Aur Ek Brush, Aur Ek Katori Khichdi
Aur Ek Chup Baithi Budhi Aurat Jisne Bola - "Hush"

Shubh Ratri Kamra
Shubh Ratri Chand
Shubh Ratri Gaay, Jo Ki Chaand Ke Upar Se Kudi
Shubh Ratri Roshni
Aur Ek Laal Balloon
Shubh Ratri Bhalu
Shubh Ratri Kursiyan
Shubh Ratri Billi Ke Bachche
Aur Shubh Ratri Dastane

Shubh Ratri Ghadi
Aur Shubh Ratri Moze
Shubh Ratri Chota Ghar
Aur Shubh Ratri Chuha

Shubh Ratri Kanghi
Aur Shubh Ratri Brush
Shubh Ratri Kisi Ko Nahin
Shubh Ratri Khichdi

Aur Shubh Ratri Budhi Aurat ko jo boli "Hush"

Shubh Ratri Taare
Shubh Ratri Hawa
Shubh Ratri Awaazein Har Taraf!




Brown Bear Brown Bear - HINDI

Bhura Bhalu Bhura Bhalu
Tum Kya Dekh Rahe?

Mujhe Ek Lal Chidiya
Dekh Rahi


Lal Chidiya Lal Chidiya
Tum Kya Dekh Rahi?

Mujhe Ek Pili Batakh
Dekh Rahi

Pili Batakh Pili Batakh
Tum Kya Dekh Rahi?

Mujhe Ek Neela Ghoda
Dekh Raha

Neela Ghoda Neela Ghoda
Tum Kya Dekh Rahe?

Mujhe Ek Hara Mendhak
Dekh Raha

Hara Mendhak Hara Mendhak
Tum Kya Dekh Rahe?

Mujhe Ek Baingni Billi
Dekh Rahi

Baingni Billi Baingni Billi
Tum Kya Dekh Rahi?

Mujhe Ek Safed Kutta
Dekh Raha

Safed Kutta Safed Kutta
Tum Kya Dekh Rahe?

Mujhe Ek Kali Bhed
Dekh Rahi

Kali Bhed Kali Bhed
Tum Kya Dekh Rahi?

Mujhe Ek Sunahri Machli
Dekh Rahi

Sunahri Machli Sunahri Machli 
Tum Kya Dekh Rahi?

Mujhe Ek Bandar
Dekh Raha

Bandar Bandar
Tum Kya Dekh Rahe

Mujhe Bachche
Dekh Rahe

Bachche Bacche 
Tum Kya Dekh Rahe

===
Bhura = Brown
Bhalu = Bear
Tum = You
Kya = What
Dekh = See
Mujhe = Me
Ek = One
Lal = Red
Chidiya = Bird 

Machli Jal Ki Rani hai

Machli jal ki rani hai
Jeevan uska paani hai 
Haath lagao to dar jayegi
Bahar nikaalo to mar jayegi
Paani mein daalo to tair jayegi


Koyal Koyal Bol Rahi Hai

Koyal koyal bol rahi hai 
Daal daal par dol rahi hai.
Kuhoo kuhoo ka geet sunaati 
Kabhi nahi mere ghar aati.

Aamo ki daalo par gaati 
Bacchon ke dil ko bahalaati.

Kuhoo kuhoo kar kise bulaati  
Kya amma ki yaad sataati.

Yadi hum bhi koyal ban jaate 
Udte, phirte, geet sunaate.